Bimaari, ghabrahat owr bechaini ke lia wazifa

Q: Muje apne mutalik kuch sawal puchne the mera pehla sawal ye hai ke mai aksar bimar rehti hu meri sehat thik nhi rehti muje hf chiz se bezaari mehsus hoti hai bahar aane jaane ghabrahat bechaini hoti hoti hai koi kaam me dil nhi lagta or zahen me tarah tarah k khadshat wa waswase chalte hai bimar b hamesha rehti hu doctors ko btaya lekin sab reports normal aati hu mai boht pareshan hu namaz me b dil nhi lagta please mufti sahab aap btaye k ye koi saher ki wja hai or koi wazaif dijiye jis se meri bimari dur ho jaye. Doosra sawal ye hai k meri badi bahen ka rishta nhi ho rha hai hm 5 saal se us k liye rishta dekh rahe hai lekin abhi tak khi baat tay nhi hui koi rukawat hai kya ye b btaye or kuch wazaif bhi dijiye aap ka boht sukriya.

bismillah.jpg

A: Paanch waqt ke namaazo ke ba'd owr sowne se pehle chaar qul, Aayatul Kursi owr ye dua parliya kare:

اللَّهُمَّ إِنِّى أَسْأَلُكَ الْعَافِيَةَ فِى الدُّنْيَا وَالآخِرَةِ اللَّهُمَّ إِنِّى أَسْأَلُكَ الْعَفْوَ وَالْعَافِيَةَ فِى دِينِى وَدُنْيَاىَ وَأَهْلِى وَمَالِى

Allah Ta'ala aap ku kaami shifa naseeb farmae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)