Khwaab ki ta'beer

Q:

  1. Mujhe aksar khawab aata hai ki meri ek jooti (sandal) kho gayi hai aur mai bahot pareshan hoti hun.
  2. Mai aksar dekhti hu ki mai burqa pehanna bhool gayi hu aur raste me hun aur college ja rahi hun aur bahot pareshan hun kahi koi mujhe dekh na le. (jabki Mai burqa pabandi se pehanti hun,aaur ab mai college bhi nahi jati)

bismillah.jpg

A: Paanch waqt ki namaaz paabandi se waqt par parh liya kare owr purah ka ihtimaam kya kare tamaam na mahram lowgo ke saat. Tamaam mushtabh cheezo se ijtinaab kya kare (jaise cellphone, internet, ghalat qisam ke novel, ghalte suhbat, TV, waghairah). 

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada