Khwaab ki ta'beer

Q: Kaal raat ko maine istikhara kya shaadi ke liye. Meri ek seheli hai jis se main shaadi karna chata ho. Pehle khawab main maine dekhe ke  ammi aur bhai roh rahi hai aur meri sehli udaas hai. Aur hum 1 ghar par hai. Jahan meri bahbi, ammi aur aur dost alag alag kamre par hai aur main kahbi ek kamre se dosre kamre main jah raha hoon aur ono ko dilasah aur hoslah de raha hoon. Dosre Khawab main maine dekha kai ek ladki hai jise maine kiss kya aur mujhe bohot bad  feelings hoi ke maine apni dosst ka saath cheating ki, aur oss ke bad main suddenly main aur meri dost jis main shaddi karna chahta hoo aur kuch aur dost graduation party par gai. Aur wahan par kisi ne meri dost ke sath batamizi ki. 2 ladko ko maine mara. Wahan se bagha aur police mere piche parri thi. Aur 2  boorri aur bohot acchi auratene meri madan karni ki koshis kar rahi thi. Police wale har jagga ponch rahi the aur nice police wale the aur mojhe riha kar diya. Is ka kya madlab hai. Main jana chata ho. Apni sehli ki main bhalai chatha ho.

bismillah.jpg

A: Larki ke maa baap se baat kare owr nikaah ka pegaam un ke saamne pesh kare. Agar larki ke maap baap aap ke deen owr akhlaaq se kush ho, to wo apne larki ka nikaah aap se parhaenge. Shaadi se pehle larki se baat karna jaaiz nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada