Khwaab ki ta'beer

Q: Maine pehle ek khwaab dekha tha ke bahut saara paani he. Mai phele bhi aisa khwaab dekh chuki hun aur wo khwaab me mai sonch rahi thi ke pehle is raaste se gai thi to paani mein phans gai thi ab dosre raaste se jaongi aur ab ke aisa raasta tha ke wahan door se maine dekha ki paani ka bahaaw bahut zyaada he. Main chote se chattan par chad kar aage badne lagi to aage bhi koi dikhe aur phir kisi upar ki jagah par chad gayi wahan se kisi jagah jaane ka pata aur tiket poocha to wahan bhi barsaat ke cheente pad rahe the. Har jagah bas paani tha aur main kahin safar kar rahi thi aur aisa khwaab aksar padta he, kabi train mein wagaira

Aur ek doosra khwaab aj raat mein dekha tha ki mein aam kaat rahi thi aur abba kitchen main bade bade hare aaam le kar aaye hein,aam bahut bade aur hare the.

Mein aalima course kar rahi hoon. Teen saal ho chuke hein. Walidain meri shaadi ke liye bahut fikrmand hein. Koi rishta he nahi aata, aur mein thori moti bhi hun.

bismillah.jpg

A:

1. Hamesha neak suhbat me rehni ki kowshish karo owr mushtabah owr haraam cheezo se bacho (jaise ghalat suhbat, internet, cellphone, TV, waghairah) owr apne zindagi me purdah ka ihtimaam karo tamaam na mahram larko owr mardo ke saat.

2. Khwaab ki ta'beer ye he ke Allah Ta'ala neak rishta naseeb farmaenge lekin kamiyaab banne ke lia gunaah se parhez karo owr apne zindagi ku sunnat wali zindagi ke mutaabiq banao. Paanch waqt ki namaaz paabandi se parho waqt par. Aankh, kaan, zabaan owd dil ki hifaazat hamesha karo tamaam gunaaho se. Allah Ta'ala kamiyaabi naseeb farmaenge owr har halaal ummeed puri farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada