Khwaab ki ta'beer

Q: Main kal rat apny khwab main dekhti hn ke main apni baji k ghar gai hui hn or waha py barish hoti hai jo bht hi saaf or chamk wali hoti hai or kafi dair tak hti rehti hai or koi nuqsan nai hota. Wo ghar ik darya ke kinary bi hta hai thora dar lgta hai bt barish nuqsan wali ni hti or phir khtam ho jati hai mera bhai mujhy kehta hai ke chalo wapis ghar chaly to jasy darwaza kholty hain to asman par kaly badl dekhti itny kaly badl or itny zayda ke aj tk shayed hi main ne dekhy ho or phir yahi py meri ankh khol jati hai.

bismillah.jpg

A: Baarish se muraad rahmat he. Allah Ta'ala aap logo ke upar apne kusoosi rahmat naazil farmae. Ye zamaana ayk pur fitna zamaana he. Musalmaan ku chahia ke apne Deen ki hifaazat har waqt kare. Deen ki hifaazat neak suhbat se hogi.  

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada