Qur'aan shareef ki mukhtalif qiraat

Q: Quran ke mutalliq ek sawaal hai, agar hal mil sake to baraye meharbani hogi.

Quran mein saat manzile hain, maine kahin padha tha ab yaad nahin hai ke "Jaise Jaise Quraan ko aage padhte jaate hain, to manzil dar manzil quraan lehze mein asan hota jaata hai". Aur maine ye bhi padha tha ke Aap Nabi saw ke zamane mein jab quran utarna shuru huva to lehze mein kaafi muskil thi, aur phir shuru ke imaan mein shamil hone waale musalman bhi padhe likhe nahin the, to aap Nabi saw ne allah se dua ki ke "Allah quran ko asaan kar de" to manzil dar manzil quran ki Suraten aur aayeten chooti hoti gayi aur Allah taala ne Sura Qamar mein iske mutalliq aayat no. 17,22,32,40 mein farmaya ke humne quran ko asaan kar diya. Kya ye baat sahi hai? Agar sahi hai to iski tasdeeq kahan se ki jaa sakti hai? Agar sahi hai to iska hawala kis kitab se diya ja sakta hai?

bismillah.jpg

A: Islam ke shuroo' me Qur'an jab naazil hona shuroo' huwa, to Rasulullah (Sallallahu Alayhi Wasalam) ne Allah Ta'ala se dua ki ke Allah Ta'ala Qur'an ku asaan karde ummat ke lia. Phir Allah Ta'ala ne Qur'an ku mukhtalif qiraat me naazil farmai. Yehi baat Hadith Shareef me aya.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)