Khwaab me sailaab dhekna

Q: Main aksar khawab mein boht zyada pani daikhta hun kabhi daikhta hun k Hum (Main oar ghar waly) bahr ja rahy hain. Hum Rasty pe paki road pe hain oar idher udher dono trf pani hi pani hai jesay flood aya hai. Hamary ghar se 1 km pe aik brsati nala hai daikhta hun k iss mein sellab aya huaa hai. Phir aik din Main ne daikha k Main kahin gya hun oar wahan boht zyada flood aya hai and main uss flood mein ghira hua hun. Paani boht gandla (Muddy) hai. Phir main wahan se nikal ke agy gya hun wahan daikha hai k Main brhana wahan aik nadi k bahir khara hun. Kuch agy ja kr Mery sath oar dost b hain un sb ne hijam se hijamat krwai hai oar main ne b lekin sb chaly gaye hain and sab ke pesay main ne diay hain. Aksar khawab mein boht zyada gandla (muddy gary wala) pani jis trah flood mein hota hai wo daikhta hun.

bismillah.jpg

A: Sailaab se muraad fithna he. Allah Ta'ala hum sab ki hifaazat farmae tamaam fithno owr gunaho se.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada