Khwaab ki ta'beer

Q: Rat teen baje ke bad dekha ke mere ghar ke andr lounge ke darwaze ke pas bht gamley hote hen chotey naye podaun k shayad abba latey hen. Me dkh k khush hoti hun un mein ek aloe vera ka hota hy. Bki harey bharey aur b hote hen. Pr ek chotey kantoun wala hota hy. Me sochti hun jahan dosre parey hen purane waha sy agey rakhti hun utha k rakhti hun k mehman ajate hen. Phr dkhti hun ghar ki sehriyan jo k lounge k darwaza k pas he hen waha b kch harey bharey gamley hote hen phr naye gamloun mein sy ek gamla jb uthati hun to sheeshay ka hota hy sochti hun ktna khubsorat hy esk sehriyo py rakhoungi bkiyoun k sath. Phr achanak nazar ata hy mehman jo ae hen wo mjh haar pehntey hen bht gulab aur motiyoun k phool k ghar mein bht roshni hoti hy wo drawing room mein ate hen mein 2 sy 3 baarik haar khush ho drawing hal k darwaze latka leti hun k ache hen bht ache lgen ge. N bki kafi haar ghar k andar kisi aur darwaze py lgati hun. Esa lgta hy mehman jsy mri phupho ho n wo mri dosri cousin ka puchti h married h wo n kehti ek haar sambhal k rakho usko b pehnaogi. Bs itna yad hy. Eski tabir bta dien.

bismillah.jpg

A: Khwaab ki ta'beer ye he ke insaan ku zindagi me sirf kushi owr masarrat nahi hogi, balke kabhi unku mushkilaat owr dushwaariyo ka waasta bhi parega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada