Kisi ke upar ilzaam lagaana

Q: Agar koi shaks koi gair mehram se messag kare aur na to wo usko dekhi he aur na uski aawaaz suni he, magar ladke ne dawa kiya ke usne us ladki ko Dekha he aur wo ladki shaitan ke behkaawe me aa kar us ladke se msg karna Shuru kar di. Wo ladki sirf itna janti thi ke wo ladka uski ek saheli ka bhai He aur wo uske baare mein kuch aur khabar nahi janti thi. Wo dono chat to Karte the aur ladka ye dawa karta tha ke uski behen ye sab kuch nahi  janti He halanke wo uski behen ko kehta tha ki mai teri frend se msg karta hun Magar ye ladki us baat se nawaqif thi jab us ladki ko ye malum hua ki wo Sab kuch uski saheli ko malum ho chuka he aur sab ko wo bolti phir rahi he to Us ladki ne badnaami ke dar se ye saara ilzaam apne khaleri behen ke upar Daal diya jo behen us ladki se bahut hasad rakhti thi. Ye sab mamla hone k Etakreeban ek saal baad usne ye jaana ki bohtaan lagana kitna bada jurm he Aur iski saza bhi quraan mein wazeh kar di gayi he. To kya us ladki ko Bohtan lagane ka gunah laga he aur wo khaleri behen ye sab waqiq nahi Janti, ye sab kuch wo ladki he janti he, aur to koi ise nahi jaanta. Wo Apne is gunah par sharminda he. Tauba karti he. Zindagi baki rahi to Hattal amkaan koshish karegi har ehkaam e ilahi ko maan kar chalne ki. Please Koi hal batain is problem ka. Uske walidain ko tak ye sabb cheezon ki khabar nahi He magar wo ab apne aap ko sudharna chahti he. Wo kya kare.

bismillah.jpg

A: Jiske oopar ilzaam lagaaya us see maafi maange aur khuda se ro karke wa`dah kare ke aaindah har giz aysa kaam nahi keregi. Shaadi se pehle ghair mahram se baat karna gunaah kabeerah he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)