Khwaab ki ta'beer

Q: Mera sawal ye he k maene khuwab mae deakha he k mae umrah karny ja rhi hoon. Aur pir aysa mehsoos hwa k khana khaba k samny mae hath utha k boht ro rhi hoon emotional ho k. Pir manzer badla k abi kal jana hy umrah k liye aur mae packing kar rhi hoon.aur khe rhi hoon ami se k mery pass to koi new suite nai hy pehnany k liye kyn k umrah ka program itni jaldi bana k kuch kharidny k liye time hi nai mila.aur mery sath meri ami bhabhi aur bhai ne jana tha umrah k liye. Jab k hakikaat mae ami bhabhi aur bhai ne umrah kia howa hy aur meri dosri behn ne jana tha apny husband k sath aur mera koi plan nai tha aur mae khuwab mae soch rhi thi k isne to muj se phely jana tha umarh pe ye abi yahn hi hy aur mae umrah pe ja rhi hoon.

bismillah.jpg

A: Khwaab ki ta'beer ye he ke aap ku chahia ke apne zindagi ku Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ke Mubaarak Sunnat wali zindagi ke mutaabiq banae. Kab'abtullah ki taraf safar karne ka matlab yahi he. Allah Ta'ala hum sab ku Haramain Sharifain ki ziyaarat baar baar naseeb farmae. 

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada