Khwaab ki ta'beer

Q: Mein ne jb sy hosh sambhala khud ko khwabo mein bs kuch na kuch talash krtay huay hi paya. Yahi dekha har bar ke mein safar mein hun. Kabi car, kabi auto. Sometimes without any convenience. Bas kabi college sy ghar jati hun to ghar nhi milta bs chlay hi ja rhi hun musalsal..kabi kisi  relative ke ghar jatay hein sb ghar walay wahan majood hotay hein but mein galion or sarko (roads) pr kabi paidal kabi kisi cheez pr wahan  pohanchanay ki koshish karti hun magar be sud pechlay kuch arsay sy bs khwab mein khud ko net pr searching krtay huay paya bht zyada. (in reality i'm a researcher student). So, ignored but pechlay kuch dino sy again whi puranay khwab ki trhan khud ko bas mutlashi hi dekha ...ik aesa insan jisay ghar/manzil ki rah nhi milti. Jo ghar janay ke liay mara mara phirta hai.. thak har jata hai but manzil/ghar nahi milta.

bismillah.jpg

A: Aap saheeh raste ke talaash me ho. Neak Ulama ki suhbat ikhtiyaar karo. Allah Ta'ala aap ku kamiyaabi naseeb farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada