Dowsre ke waqt me apna samaan farokt karna

Q: Me ek hospital ki pharmacy me pharmacist job karti hon. Hospital ke owner boht he kanjoos hyn na time par employees ko pay krtay hyn na medicines mangwatay hyn. Aksar esa hota hy ke patients aatay hyn or medicines nahi hotin wo pateshan hotay hyn. Kia ye jaiz he k me owner ko bataye beghair apnay paison ki kuch medicines lekr rakhlon or jb store me medicine na ho tu me apni medicines sell kardon. Mera bhi faida ho jayega or patient ka bhee or owner ka koi nuqsan nahi hy is me. Doosra ye ke agr store me medicines hon or phr bhi me kabhi kabhi apni medicines sell kardon tu kia ye jaoz hoga?

A: Ye saheeh nahi he. Hospital ke owner ne aap ku masdoor banaya. Us ke kaam ke waqt me aap ke lia apna samaan farokt karna jaaiz nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)