Maa baap se mashwara karna shaadi ke maamle me

Q: Mere bhai hai jo 24 years ka hai unmarried. Hal jaldi janna chahte hain hum. Ek larki jo mere bhai ke sath parhti thi woh bhai se shadi karna chahti hai or usey behadd pasand karti hai 7 years se. Hum har tarah ki koshish kar ke dekh chuke hain k us ki yeh pasandedgi khatam ho jaye magar mufti sahab woh larki to bilkul dewani hoti ja rahi hai sab log kehte hain ke agar us ki shadi na hui bhai se to woh pagal ho jaye gi. Aisey me mere bhai ke liye kiya hukum hai usey kiya karna chahiye? Larki khud achi hai pehle kuch ghalat aadaten thin us ki itna strickly follow nahi karti thi islam ko or mere bhai ko is hi baat per issue tha magar ab to namaz roza bhi karti hai follow karti hai islam ko. To ab mere bhai ko kiya karna chahiye kiya us larki se shadi karni chahiye? Agar nahi karta shadi or us larki ko kuch ho gaya to kiya is ka gunnah mere bhai ko mile ga? Woh larki pehle bhi bohat dafa suicide attempt kar chuki hai magar Allah ka karam se bach gai hai or is hi baat ka darr lata hai ke kahin usey kuch ho na jaye or gunnah mere bhai ko mile. Please aap se request hai ke is masle ka haal bataiye hamari rehnumai farmaiye hum sab bohat preshan hain ap ka bohat bohat shukriya.

A: Unko kahe ke apne maa baap ke saamne in baato ko pesh kare aur unki khushi aur farmabardaari se har giz ne hate.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)