Khwaab ki ta'beer

Q: Mainay apne khawab main dekha ke main ek darya ke age khara hun, or meri ammi (mother) khtee hain ke darya ke doosri taraf se koi cheez le ke ao. Main darya main jaane ki bajae saath sookhi jaga pe chalta hun likin wo keechar hota hy, main chalta jata hun or doosri taraf shru hone se phle ek chota sa pahar (mountain) tha, main us pe charhta hun mitti samajh ke likin jab darmayan main pahaunchta hun to pata lagta hy ke ye pahar (mountain) keechar ka hy, vo keechar uper se mujh pe girne lagta hy to main ek dum apne sar se cap utar kar mun cover kar leta hun take mera mun ganda na ho or jb main doosri taraf pahaunchta hun to mere haath saaf hote hain, un p keechar nahi laga hota tha.

A: Buree suhbat se bacho owr tamaam mushtabah owr haraam cheezo se bhi bacho.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada