Ghair Muslim larka se shaadi karna

Q: Kia musalman larki Jewish ya Christian larkay say nikah ka naam de kar shadi kar sakti hai? Kia shadi main shareek honay walay mahmano ka shareek honay jaez tha? Kia man Baap aur behen bhaiyon ka shareek hona aur larki ko support karna jaez hai jabkay woh larki pehlay bhi Christian ko musalman kar kay shadi kar chuki ho, Larkin doosri dafa baghair musalman kiyay huay nikah ka naam de kar shadi ki ho?

A: Islaam me Musalmaan larki ke lia haraam he ke wo kisi ghair Muslim larke se shaadi kare (khwa wo ghair Muslim larka Isaaee, Yahoodi, Hindu ya koi owr mazhab ka ho). Ye nikaah mu'tabar nahi he. Agar downo saat rahe miya biwi ki tarah, to wo zina me mubtala honge. Issy tarah unke khaandaan walo ke lia haraam he ke wo us ki madad kare is nikaah me owr un ke lia haraam ho ke wo ayse nikaah me shareek ho.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: