Haidh ka masla

Q: Meri umar 53 saal ha mujy 5 maheny bad haiz huy hain or 20 din say bleeding ho rahe ha. Pehly 10 12 din zayada bleeding hue ha magar ab kuch din say kabi kabi thore se bleeding ho jate ha magr mukamal khatam nai hote bray mehrbani mujy bta dain kya ye noraml ha? Koi pareshani ke bat to nahe? Kya main namaz parh sakte hun ? Owr haiz khatam hony ke umar kya ha bray mehrbani bta dain shukriya owr ye bhi bata dain ke mujy doctor ko check karwany ke zarorat to nahe?

A: Usko bhi haidh me shumaar karenge. Jo haidh ke ahkaam he wahi ahkaam yahaa par jaari honge. Aap apni puraani aadat ki taraf lot jayegi. Agar puraani aadat masalan das din ka tha, jo ke akthar muddat haidh ho to li haaza yahi kahaa jaye ke das din haidh he aur baaqi istihaadhah.

Ye doctor ko bataa dena chaahiye. Woh bata denge ke pareshani ki baat he ya nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)