Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhay ayk khwaab ki tabeer pochni hai. Please bata deay jeay ga yeh kahwab mujhay aaj bhi achi terha yaad ahia ur hamysha yaad rehta hai yeh khawab main ne subha ke time dekaha tha aur jab ank kholi thi tu fajar ki azan hoo rahi thi. Khwaab esay ahin "main kesi bohat bari dergha per hun jab bohat say log hain bohat achi dergha hai bohat khoobsoort chmakti hoi tiles lagi hoi hain aur safi bhi hoo rahi hai phir waha per elan hota hai k hazar sahib ki sawarii aa rahi hai sab log dedar k leay tayar ho jaen tu main bhi akk said per hoo ker khari hoo jati hun meri beti bhi meray sath aur aur shyad meray shohar bhi phir akk khboosrat si baghi jesi lakin woh pori band hoti hai sawri bahir aati hai akk kamray say aur sab aadab say kharay hoo jatay hain woh gardi pori dregha ka chaker kat ker wapis apnay usi kamray main chlai jati hai ,phir main aur meri beti whah say chla ker thora aa gay chalay jatay hain phir main jesi roza e Pak ki jaliyan hain wasi waha per hoti hain main waha khari hoo ker dowa mang nay lag jati hun mera beti ka rakh dosri taraf hota hai tu woh waha deakhtay howay kehti hai ma ma woh dekhen Allah tala kitna pyaray hain tu main mur k deakhtay hun tu mujhay bas white roshni si dekhti hai phir akk awaz sunai dayti hai kay tumhari beati bhi bohat payri hain us kay baad meri ankh khol jati hai." App ke jawaab ki muntazir.

A: Is khwaab ki taraf diyaan ne de. Paanch waqt ki namaaz par paabandi kya kare apne saheeh waqt par owr tamaam na mahramo se purda ka ihtimaam kya kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada