Na jaaiz talluqaat

Q: Aik larki jis sy zinnah huwa tha aik saal phly usny Allah se bht mafi mangi aur us gunah sy toba kar li usky bad us larki ki zindgi me aik aur larka aya jo us sy nht pyar krta tha unki 5 6 mnths sy bht achi understanding thi unky darmian zinnah ky ilava takreban sab ho chuka tha(kissings hugging etc etc) wo bus zinnah jasy gunah sy ruky hvy thy aur wo nikkah ky ey tyar thy mgr kisi trha us larky ko us larki ky gunh ky bary me pta chal gea jab us ny larki sy pocha to us larki ny apna jurm kabool kar lia aur us sy mafi bhi mangi larka ab bhi us sy bht pyar krta hai aur ye janna chahta hai ky kia ab wo ye sab janty hvy us larki sy nikkah kar skta hai ya nai ? Islam kia ijazat deta hai ya nai? Aur agr islam ky mutabik saza kat ly to tab kia hukam hai us sorat me bhi nikaah hoskta hai ya nai? Meri guzarish hai ky sahi rasta btaya jaey jo quran aur sunnat ky mutabik ho.

A: Downo ku chahia ke Allah Ta'ala se toawbah owr istighfaar kare kyonke Shari'at me jaaiz nahi he ke na mahram larka owr larki aapas me talluq rakhe. Downo azam kare ke aainda is tarah ki gunaah nahi karenge. Agar larka larki se shaadi karna chata to us se chahia ke larki ke maa baap se mile owr baat kare. Agar larki ke maa baap larke ke Deen owr aklaaq se kush he, to wo shaadi kar sakte.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)