Qadha namaaz aur towbah

Q: Sachi tauba se saare gunnaah maaf ho jate he to kya jo namaze hum ne qaza ki he wo tauba se maaf nahi ho sakti he un ko parhna zaroori he kya?

A: Towba karne se namaaz ku qadha karne ka gunaah maaf hota he. Lekin choonke asal namaaz nahi parhi gayi, to us ka dain aadmi ke zimme se saaqit nahi hota. Is lia us ki qadha parhna zaroori he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)