Khwaab ki ta'beer

Q: Main nay aik khawab daikha he. Main kese ke sath khara hun us admi ka hath main Qur'aan paak he itnay main humaray samny say kuch log guzrty hain jinho nay black chader le hoe he aur apny aap ko black chader main chupaya howa he. Itnay main wo admi jis ke pass quran he wo quran ko un logo ke traf ker daita h jaisy he wo quran ko un ke traf kerta he aik zor dar tofan aa jata he. Taiz hawa chalte h aur wo log bhaag jatay hain. Baad main main us admi say puchta hun ye kon log thy wo muje batata he ye balaain thy. Kindly muje es ke tabeer batain.

A: Khwaab ki ta'beer ye he ke Haq owr baatil ka takraaw hamesha rahega lekin anjaam ke i'tibaar se Allah Ta'ala haq ku hamesha ghaalib karenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada