Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhe apne khwaab ki tabeer maloom karni ha. Me dekha ke me kisi masjid me wazoo kr k utha hn to boht khush hn k meri khwahish pori ho rahi ha k mn aj umrah k liye ja rha hn, us k baad namazio ki saafein bichin ha jis ki pehlsi saf mn mera dost ha, jese hi mn saf ki taraf barta hn to dosri saf mn mujhe aur admi nazar ata ha k jin ko mn personally janta hn, mere jan'ne walay ha. Unko dekh k mn unki tarf barta hn, wo uth kr mere galay lgtay ha aur mn khushi se rota hn, k mn umrah krne ja rha hn aur udher wo admi b mila ha, us k baad wo mujhe koi baat kehte ha mashriq ki taraf dekh kr jo mujhe yaad ni. Lekin itna yaad ha mashriq ki taraf dekh rha hn aur aur us k left side pr 21 pahar han. Us ke baad meri ankh khul gae. Braey mehrbani mujhe is ki tabeer bta den.

A: Khwaab ki ta'beer ye he ke hame chahia ke hum sab ke huqooq poora kare lekin sab se qareeb ne rahe. Khaas towr par fitna ke zamaane me. Aadmi ke kaamiyaabi ke lia us ku chahia ke wo apne Deen ki hifaazat kare har haal me owr neak logo ki suhbat iktiyaar kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada