Susraal ki taraf se pareshaani

Q: Meri shaadi mere khala ke bete se hue. Mere sasural me mujhe bohot pareshaan karte hai. Mere husband ko meri saas din bhar mere khilaaf bhadkaatii hai. Mujhse mere beti ko bhi cheen kar mere jeeth ko dere the, mere jeeth beaulad hai. Maine mana kiya to mujhe bohot mara aur in sab se tang aakar jab mere maa baap mujhe lene aae to unke saath bhi badsulloki ki aur mujhe hamesha ke liye maika chodne ke liye kaha warna talaq dene ki dhamki di. Tab mere sare mamu aur khandaan wale aakar mujhe apne maa baap ke paas legae aur mai ek saal unse alag hue. Phir waide karke mujhe sasural wale legae, phir se wo mujhe waise hi torchur karrahe hai. Mai apne husband ke sath alag rehna cahtihoun, saas ki sikaawat se door, mujhe yaqeen hai ke alag rehne se wo sahi hojainge inshallah.

A: "Rabbii innee maghloobun fantasir" 7 martabah har namaaz ke ba`d parho aur subah shaam "Laa ilaaha illaa anta subhaanaka innee kuntu minazh zhaalimeen" 100 martabah parho.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)