Qasam towrne ka kaffara

Q: Main ne apni behan aur bateji ka school main dakhla Kia tha. Woh dono school Jana nahi chahti thi. Main ne ghussey main kasam kayia ke main dobarah dono ke saath school nahi ja wongi. Main ne Allah ya rasool ki kasam nahi kaye thi. Main ne kaha tha main kasam se saath nahi ja wongi. Ise kasam ka kia kaffara hai?

A: Qasam towrne ka kaffara ye he ke aadmi das miskeeno ko kapra pehnaai us qadr kapra jis me namaaz ho sakti ya das miskeeno ko sadaqatul fitr ke miqdaar ke baraabar paise dow. Agar kisi ko is par qudrat ne ho, to teen din musalsal roza rakhe kaffara ki niyyat se.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)