Baalti ku saaf karne ka tareeqa

Q: Mera sawal yahi he ke kisi baalti me detergent powder our thori paani ke sath napaak kapra kuch dher tak duba ke rakhne ke bad kya os baalti napaak ho jayegi?Agar baalti napaak ho jati hai toh osku paak karne ke lye, osme pani bhar kar thora pani beh jane dene ke bad, baaqi rahi pani se kya gusal kar sakta hu? Ye baalti ke baqi rahi paani bhi khali karna parega, agar baalti ke baaqi rahe paani khali kar bhi deta hu toh bhi os ki tari me thowra pani toh rehjayenge na, toh baalti khali karna our nahi karna ek hi baat hoga na?

A: Baalti ko paani se dholo is tariqe se ke us mein paani bhar kar aur phir saara paani nikaal de phir woh paak hojaaye ga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)