Kapre owr baalti ku saaf karna

Q: Mey 'Youtube' me taharat ka ek video dekha. Us me ayk mufti sahab ne kaha key agar kisi chadar me kise bacha ne pesab kar diya ho, toh isku kisi ne otha kar rakh diya bad me pak karne ke lye, bad me chadar ko pak karne ke liye ley gaye to osme peshaab ka koi nazar nahi aa raha ho. Mufti sahab ne bataya ke is chadar ko paak karne ke lye kise baalti me rakh kar us baalti me nal khol kar pani bhar kar, us baalti ke upar hath rakhne ke liye kaha, take chadar ka koi bhi hissa baahar na aaye, our phir jab wo baalti pani se poori bhar jayegi, tab baalti se kuch der paani beh jane dene ke liye kaha. Our unho ne kaha ke jab thora pani beh jayega tab chadar paak hojayegi our baalti ka undar ka pani bhi pak ho jayega. Unho ne ye nahi bataya ke baalti pak rehenge ya nahi. Ab mera sawal aapse yahi hai key wo baalti kya paak rehenge ya nahi?

A: Chaadar ku achi tarah dho liyajaye ke napaaki nikal jaawe. Uske ba'd jo napaak paani baalti ke andar ho usku bahaaya jaaye aur nikaala jaaye, aur phir baalti ku doosre paak paani se bhar diya jaaye aur baalti ku dho liya jaaye. Uske ba'd jab doosra paani bahaa diya jaaye, to baalti paak hojayegi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)