Ghusal khaane me kapre dhowna

Q: Me ye janna chahta hu ke aksar har waqt ghusal khaane ke jis jagah par napaak kapra rakh kar nichora jata he wo jagah kya napaak ho jati hai? Agar wo jagah napaak ho jati he, to kapre bhi to napaak rahenge na, toh os jagah par kapre ko nichor kar phir baalti me daalkar dhona parega kya? Agar baalti me paani lekar, balti ke undar kapre ko daal deta hu, tabhi baalti ka undar ka paani kya napaak hojayega? Agar baalti ka undar ka paani napaak ho jata he to kapre bhi to napaak rahenge na? Our aapke pass kapre ko dhone ka asaan sa koi tariqa he to zuroor batana, kyun ke muje kapre paak karne ke har waqt bohot shak hota hai, yahi ke kapre ko pak kar paye ya nahi. Our is wajah se aksar me bohot preshaan rehta hu, to aap muje meherbaani karke koi hal bata dijiye taake meri pareshaani door ho.

A: Agar napaaki ka kuch athaar nazar nahi aata he to woh jagah paak he.

Zaahir he ke jab woh napaak kapra rakhenge to paani napaak ho jayega aur jab woh paani napaak ho jayega to jo kapra us napaak paani se lagega wo napaak hojayega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)