Khwaab ki ta'beer

Q: Meri ammi ne kuch din pehle ek khwaab dekha jisme unhone apni ammi yani meri naani ko dekha jinka bht saal pehle intikal ho gya h wo aur unke sath meri ammi ki choti behen ki saas (jinka bhi ab bht saal pehle intikaal ho chuka h) wo dono(yani meri nani aur meri ammi ki choti behen ki saas) meri ammi ke khwab me sath me aayi aur unhone meri ammi se kha ki chlo hum tmhe lene aye h to meri ammi ne unse mana krke kaha ki nhi abhi mere upar bht zimmedariyan h, h hum abhi nhi 15 saal bad chlengy jisko sunkr wo chli gyi). Itna hi khwaab he jo meri ammi ko mu zabaani yad h. Agar iski tabeer aap bta de to aapki bhot meherbaani hogi aur ek baat ka khulasa aap agr karke thoda tafseel se bta de ki is khwab ka meri ammi ki umar bhadne ya ghatne se koi andesha to pesh ni ho ra h mtlb ki kya meri ammi ye na khti ki hum 15 saal bad chlengey to kya unka intikaal ho jata nd ab agr unhone ye kh dia h ki 15 saal bad chlengey to kya ab unki umar allah ke fazlo karam se badh gyi h. Aur ek baat agr ap saaf bta de ki kya isse ye bhi pta chlta h ki Allah na kare meri ammi ka intikaal 15 saal bad ho jaega, ye sari baaton pe aap gaur krke agr aap tafseel se bta de to aapki bhot meherbaani hogi. Allah Ta'ala aapko iska ajr de.

A: Maut owr Hayaat Allah Ta'ala ke haat me he. Koi nahi jaanta he ke kown kab jaaega. Lihaza sab ku chahia ke maut ke lia tayyari kare. Khwaab ki ta'beer ye he ke aap ke naani aap ke waalida ku yaad kar rahi he. Lihaza aap ke waalida ku chahia ke Qur'an Shareef ka kuch hissa parh kar ya kuch sadaqa dede owr us ka sawaab apne waalida marhooma ke lia bhejde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada