Khwaab ki ta'beer

Q: Mufti ji mai 7th me tha tab maine 2 martaba pyare aaqa ki ziyarat ki hai ek martaba hazrat khwaja garib nawaz mureed kaise howe pora manzar dekha or us manzar me khawja usmane haaroni ki khan kha me bait ke khana kha raha tha or Pyare aaqa aatin or khwaja usmane harooni boltin ki jaao khawaja huzur aaye hain tawaf karo to mai sunte hi logo ko bolkar pyare aaqa ke qadamo me gir ke maafi maangta rahta hun rota rahta hun unhe chumta rahta hun or hazrat khwaja garib nawaz usmane haaroni ko boltin ki nai aap mere peer ho aapki khidmat karunga to pyare aaqa muskuratin or boltin ki "jo mere peero murshid ki khidmat karta wo meri khidmat karta or jo meri khidmat karta rabtala ki khidmat karta " yaha tak phala khawab howa or dusre khwab me mai tamam ghar waalon ko lekar hajj karwane gaye rahta hun to phale hum makka nahi madina jaate hain or madina me hum sab baite rahtin mai huzur ki jaaliyou ke paas tahlta rahta hun us waqt waha ka badsha aata or bolta ki jaaliyou ko kholo aaj huzur ka sandal karinge mai bhag ke ghar waalon ko bolta hun or bhag ke jaldi me andar chala jaata hun bahoot bheed rahti mai andar jaakar pyare aaqa ki mazar ki chadar uttake phale chumta hun or sandal lagata hun yaha tak dusra khwab hai or mazar jo hai na utni badi na choti mediyum thi or laal mitti utni laal bi nai us rang ki mazar sharif hai pyare aaqa ki. Tabir batayi mufti ji.

A: Khaab ka ma'na ye he ke agar aap khushi aur kaamyaabi ku chahte, to Allah Ta'ala ne sirf huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) hi ki mubaarak sunnat me rakhi, usi ki ittiba se aap ku khushi aur kaamyabi haasil hogi. Lihaza Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ki ittibaa karleejiye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada