Khwaab ki ta'beer

Q: Mein aj fajar ki namaz parh k soi mene khuwab mein dekha mein bus mein kahin jane ka irada krti hun meri khala ki beti mere sath hoti hy hum bus stand py hote hen saman mein bht khubsorat rangeen jootey hote hen saman bht hota hy ek jota mein pehnti b hun jb tk bus nikal jati hy mein pareshan hoti hun hm dono reh gai hen phr yad ata hy bus dosri jaga rukti hy hum wahan pounchtey hen to bus ruki hoti hy wahan phr dekhti mein n mere 2 bhai hote hen sath mere hm 3 bus saman dekhti hun pora hy. Jo ek jota nikalti hun pehny k lye ek pehnti hun dosra paon nh milta phr jootun wala bag kholti hun dosra rangeen jota hota hy sochti hun mere suit py ye acha lge ga phr wo pehn k dekhti hun. Bus mein bethny sy pehle pata chalta hy ke mere ek sir hen bus mein me dil mein sochti hun wo mjh dekhenge mein sar py dupata pehnti hun bus mein sir muskura rahe hote hen n meri ek senior dr larki bhi unke sath hoti hy wo window sheshay ki mein sy muskura ke mjh ishara karti hy ajao bus mein. Mujhe eski tabir bta dien shukria.

A: Tamaam na mahram mardo owr larko ke saat purda ka ihtimaam karo.  Agar tum Sunnat wale tareeqe par chale owr gunaaho ku chowrde, Allah Ta'ala khushi naseeb farmaenge owr dil ki tamanna poori farmaenge. Kabi joowte khwaab me nikaah ki taraf ishaarah hota he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada