Khwaab ki ta'beer

Q: Aap se ek khuab ki tabeer puchni hy mainy ek khuab dekha ke main apny old home (dada k ghar) chhat per hun aasman per mashriq ki tarf sy ek sufaid rooi ke golay jesa ek baadil bana hy jo vertically bohot unchai sy aa raha hy or bohot thik hy wo baadil mashriq ki trf sy banta banta magrib ki tarf theek sunset ke muqam per hy mager wo din ka waqt hy or jahan baadil hatam horaha hy mainy dekha wahan gumbad e hizra hy toh main khushi sy boli wo deken madeena, madeena. Jo logh ird gird thy unhon ney uchak uchak ker dekhny ki koshish ki kisi ko gumbad nazar aya kisi ko nahi. Mainy phir sy dekha toh mujhy phir bhi nazar aa raha tha. Itny main woh baadil mashriq sy he uper sy simatna shuru hogya or khatam hoty hotay gumbad tak agya gumbad phir bhi nazar aya magr bohot uchak uchak ker dekhny sy phir wo baadil bilkul khatm hogya jesy urty urty gumm hogya hmaray side waly baagh (garden) main jesy koi titlee thi or main chatt sy baagh main dekhny lagi k kahan chala gya baadil. Please khuab ki tabeer bataen.

A: Khwaab ki ta'beer ye he ke agar aap kaamiyaabi chahte, to Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ki Mubaarak Sunnat ku apne zindagi me le aaw.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada