Khwaab ki ta'beer

Q: Mujy apny khwaab ke tabeer pta krni ha jo mainy shadi ke liay istakhara kea tha. Kafi time pehly rishty ke bt ab shoru hue ha. Peehly din ke khwab may mainy dakha ke ma aik khulay sar sabz meydan may ghoom rhe hun. Dosray din wo larka mary khwaab may aya jis say meri baat chal rhe usny sabz rang ka chamakta va kurta pehna hua tha or usky pechy safaid rang ke roshni parh rhe the bohat ziada. Usky bad mainy istakhara nahi kea. Kindly tabeer bta dyn.

A: Paanch waqt ke namaaz par paabandi ka ihtimaam kare owr tamaam na mahram larko owr mardo ke saat purda ka ihtimaam kya kare. Khwaab ki ta'beer ye he ke agar aap Deen ke raaste par chalenge to Allah Ta'ala aap ku khush rakhenge owr barkat naseeb farmaenge apni zindagi me.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada