Shaadi me pareshaani

Q: Meri shadi ko 2 saal ho gay hain mere shohar mere sath ache hain mgr ukni kuch baten mere ghr walon ko achhi nai lagtin bas meke ki taraf se choti choti baton par meri apne shahar se bht dafa narazgi ho chuki hai mgr mere shohar har bar mujhe sulah kar k ly jate hain or jane k bad mujhe tang bhi nai karte asal mai unka koi mustaqil kam kaj nai hai is waja se mere ghr wale mujhe ye kehte hain k elehdagi kar lo ye kbhi bhi proper kam nai kare ga or bahar k log waliden se ye bhi kehte hain k ye larka theek nai hai awara hai or mere ghr wale is bat par bht dar jate hain or kehte hain ye apko age zindagi mai tang kare ga lekin mera dil nai manta un se alehdagi k liye mai kiya karon kis ki bat mano? Mai bohot pareshan hon. Waliden kehte hain hamara dil nai manta ke aap us ke sath raho. Please meri help kar dijiye? Mujhe kuch samajh nai aa raha mai kis ka sath don? Apne ghar walon ki bat suno ya apne shohar ke sath chali jaon?

A: Agar aap unke deen se khush he, deen me aap ne kamzori nahi dekhi lihaza unke saath raho. Unse juda hone ka khiyaal ne karo.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)