Khwaab ki ta'beer

Q: Mai apney aik khawab ki tabeer janna chahta hoo. Khawab yeh tha key mai ney dekha key mai apney ghar key bahir khara hoo. Raat ka waqt tha. Aur jab mai ney aasmaan ki taraf dekha to 14 ka chaan chamak raha tha. Achanak chand ki roshi aur taiz ho gai . chand aur ziada chamkney lag gaiya aur chand key dermiyan mai muhammad likha giaya. Mai ney saaf dekha key chand ki roshni mey muhammad ward chand key uper likha huwa tha aur poora chand chamak raha tha aur muhammad ward bhi. Aur phir yeh chamak aur roshni chand key uper asman per phailti gai aur mai ney dekha key asmaan per isi roshi mey kuch arabi ayaat likhi ja rehi hey. jb mai ne ghor kia key yeh kia likha huwa hey to yeh surrah yaseen ki kuch ayaat thi. jo asmaan par safaid chamakti hoi roshni mai likhi hoi thi. Chand par khoobsoorat muhammad likha huwa tha aur chand key uper asmaan par surrah yaseen ki kuch ayaaat thi. Bs itney mey hi meri aaankh khul gai. Meri ankh sey to is khawab ka nazara aur wo chamak abi tak nehi ja rehi. Mai aur mere maa baap qurbaan mere Aqa Hazrat Muhammmad (Sallallahu Alayhi Wasallam) par. Ameen Barai Meherbai is khawab ki tabeer jeld sey jeld bata dai.

A: Ye bohot acha owr Mubaarak Khwaab he. Khwaab ki ta'beer ye he ke agar aap kamiyaab hona chahte, to aap apni zindagi ku Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ki Mubaarak Sunnat wali zindagi ke mutaabiq banaw owr tamaam gunaaho se parhez karo.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada