Biwi ku teesri talaaq dene ka shaq

Q: Meri shaadi june 2013 me huyi thi. Shaadi ke baad mai apni biwi ke saath bhot khush tha. Mai ne uspe kabhi shak nahi kiya kyun ki mai uspe bhot bharosa karta tha. Lekin shaadi ke chaar mahine baad usne mera bharosa toda. Aur meri nigaah se gir gayi. Phir bhi mai uske saath kisi surat se guzar kar rha tha kyun ki mai usse bhot pyar kr ta tha. Kuch din baad mera usse jhagra hua aur maine use ghusse me aakar 2 talaaq di thi. Talaaq de kar mai bhot pachtaya. Phir mai kamre bahar nikal gya. Talaaq dene ke kuch din baad mujhe pata chala ki meri biwi hamal se hai. Ye baat sun ke mai bhot khush hua aur fir miya biwi ki tarah rehne lage. Aur phir kuch mahine baad mai apne parivar ko mumbai le ke aagya aur apni biwi ko us ke ghar chod diya. Phir kuch mahine baad mujhe ladka hua aur ladke ki faut ho gayi larke ki faut hone ke baad mai bhot parishan ho gya aur dar gya. Tab se mai mashallah 5 waqt ki namaz pabandi se pad rha hu. Ek din mai jumme ki namaz padhne gya to maulana talaq ke baare me bayaan kar rhey they. Jab maine un ka byaan suna to mere rowen rowen khade ho gaye. Mai bhot parishan ho gya ki ye maine kya kia. Mai aaj tak ye samajh raha tha ki ek baitahk me agar 3 baar talaq kho ge to 3 pade gi mujhe yeh nhi pata tha ki chahe ek baar me 3 baar kho ya alag alag dafa kahi sab ka ek hi hukm ha. Mai ghalti kar chuka hun isliye parishan hun maine apni biwi ko pahle 2 baar talaaq diya tha aur uske baad ek aur diye hai.tisra talaaq mujhe yaad nhi tha lekin jab bete ki faut ke baad parishan ho kar namaz ki pabandi ki tab ye khayal aaya. Ab sawal ye hai kia mera talaaq ho gya maine ye saari baat apne waaldain ko biwi aur rishtedaaron ko bata di hai kya maine sahi kiya ab sab log yahi samajhte hai ki mera talaaq ho gya. Meherbani karke aap Quran owr hadees ki roshni mera faisla sunaaye 20. Kya zehen pe dabaao daalne se agar di hui talaaq yaad aajaye to kya talaaq waaqiye ho jaa hai.

A: Agar aap ne sirf do talaaq di owr phir biwi ku waapas leli iddat ke dowraan me to aap ka nikaah nahi toota. Lekin agar aap ne teesri talaaq de di, to nikaah tootgaya. Phir teri biwi teri upar haraam hogi. Agar aap ku teesri talaaq dene ki yaqeen ne ho to biwi shaadi me he, shaadi se nahi nikli.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: