Khwaab ki ta'beer

Q: Mene kuch din pehle wazefa kia tha ayk larke se nikaah karne ke li. Wazifa 12 din ka tha our 12 din bad raat ko mene khuwab dhekha ke me 1 train me hun our apne manzil ke taraf jana chahta hun. Us train me mene logon se poocha ke ye train kahan jae ge un logon me se kisi ne jawab na dia sirf ayk ne jawab dia ke ye train ap ke gaon jae ge. Me train me beth gaya our wo train road pe chal rahe the bech me mera cousin aaya to train rukke nai us ke oopar chal gae. Per wo mara nai aakhir kar me apni manzil ke taraf phunch gaya. mufti sahab ap mehrbani karke reply dena.

A: Har raasta jis par insaan chalta he, us ku ayk mazil tak phonchaadeta he. Lihaza agar koi khair ke raaste par chale, to khair ku phonchega. Owr agar gunaah ke raaste par chale, to gunaah ku phonchega. Ye khwaab ayk acha khwaab he. Is par dalaalat karta he ke agar aap neak raaste par chalenge (owr gunaaho ku chowrde) to aap hidaayat owr kamiyaabi tak phonchenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada