Khwaab ki ta'beer

Q: Mai nai kuch din pehley bi aap sey aik khawab ki tabeer poochi thi. Khawab yeh tha key mujey apney ghar key bahir chand par Muhammad likha dikhai aur phir assman par surrah yaseen ki pehli kuch ayat likhi jati hai. Mufti Sahib mai bohat gunahgar insaaan hoo. Aur kuch dino sey Allah Tallah sey mai roh roh kar apney gunaho ki toba kar raha hoo. Aap bi mere liye dua kijiye. Mai nai aaj raat ko aik aur khawab dekha hey. Fajar ka time tha aur mai ney dekha key hamarey mohalley mai koi fotgi hai ya koi khatam shareef hey. Waha kuch logo ney mujey bataiya key waha khazoor pak Hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) bi aiye huwey hai aur woh aik kamrey mai logo key saath red color ki pagri pehney huwey hai. Mai waha gaiya par mujey koi bi red pagri wala nehi dikha to mai nai aik shakhs sey poocha key hazoor pak kaha hey to uss ney kaha wo to upper kamrey mai araam kar rahey hai. mai ney us shakhs sey kaha key un ko neechey bulaiye ta key mai bi deedar kar sakoo. Thori dair key baad mai dekhta hoo key aik darwazey par mai khara hoo aur wo darwaza khutal hey aur aap seeriyo par kharey hai safaid kaprey aur sabz rang ki pargi pahney huwey neechey utar rahey hey. aur bilkul jawan dikh rahey hai. ronari chehra aur chamak key satth. par mujey ab woh chehra mubarak bilkul yaad nehi. aap neechey utartey huwey mujey kehtey hai mera haath pakar kar utaro. to mai un ta haath pakrta hoo aur woh jumb laga daitey hai. aur mai un ko apney seeney par utha laita hoo aur un ko girney nehi daita. aur mai dekhta hoo key wo kafi choti umar key dekhai deh rahey hai. mai un ko seeney sey laga kar rota hoo aur kehta hoo kai mai aap ko nehi chooroo ga bs pehley muj sey wada karey kai aap mujey jannat mai lai kar jaiye gai. to wo kehtey hai mai nai wada kiya. mai teen baar rotey huwey poochta hoo aur woh kehtey hai mai ney wada kiya. bs us key baad mai un ko apney seeney sey juda karta hoo aur wo baki log ki taraf chaley jatey hai. Ya Hazrat. mai to bara gunah gaaar admi hoo. Ya Allah Meri Toba. Ya Allah Tera Karam Tera Fazal , Teri Rehmat ka talabgaar hoo. Plz mujey is ki tabeer bataiye.

A: Khwaab ki ta'beer ye he ke jo bhi ghnaaho aap se huwa, us ke lia aap Allah Ta'ala se sacha towba kare owr pukhta azam kare ke aainda un gunaaho ki taraf aap nahi lowtenge. Agar aap Allah Ta'ala ki khushi owr razamandi haasil karna chahte, to Aap (Sallallahu Alayhi Wasallam) ke Mubaarak tareeqe par chale owr Aap (Sallallahu Alayhi Wasallam) ke Mubaarak tareeqe ke khilaaf amal ne kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada