Shaadi me pareshaani

Q: Meri mangni 2012 mai hoi thi jin se mangni hoi wo meray chacha ke betay thy ristha meray cousin ki pasand se howa hy meray abbu saudia mai rehty hyin chacha ne abbu se request karky mery mangetar ko saudia bhejdia woh 2 saal taak meray sa sudia k ghar pe hi rehy. Mangni kay baad woh kafi khush rehy hain lakin mangni ke aik saal baad unka rawiyaa bara ajeeb sa hogay unhonay ne mujhse baat karna bhi kam kardi phir baat baat pe larai. Meri shadi 2014 mai hoi shadi se phely susral walay buhat kuch dyty thay lakin shadi kay waqt unhone mujhay koi bari nahi di sirf aik sonay ka set dey dia  aur haq mehar bhi meray susar ne kafi khamoshi se fisad kia. Aur meray sohar kay dil mai yai baat daldi kay haq mehar ki raqam ziada hai. Khair shadi kay teen month mai susral mai rahi. Wahan meray sohar ka buhat kaam phone ata thaa meray liyai woh zida taar apnay ammi abbu ko karty thy mujhay meray ghar ruknay nahi deyty aur na pasand karty thay mai ziada phone karoun ghar. Khair 3 months baad shadi kay meray bhai aur abbu ne mujhay saudia bula lia abb mai abbu k ghar mai rehti hun apnay sohar k saath. Lakin mujhay apna sohar ka rawiya nahi pasaand. Woh office mai hotay tuo ghar pe baaat karty rethy hain pakistan. Ghar atty hai tuo bss aik room mai rehty hain aur ghar pe baaat karty rethy hin ya so jaty hain. Mera is baat pe jhagra hota retha hai 3 month hogay mujhy lakin bas meray ghar wallon ko bura kehnaa aur apnay har baat karna yai hi karty rety hain. Mufti sahaab unka koi paisa khurch nahi hota. Sab abbu aur bhai karty hain. Phir bhi buray hain meray abbu or bhai aur mujhay haar baat pe bura bolna larai karna meray cheray ko bura kehna aur pata nahi kia kia bolna. Mujhay office se aik phone nahi karty bas apnay ghar pe baaat karty hain mujhay acha nahi lagta aur samjh nahi ataa kay mai kasay samjhao?

A: Ghar me ye program shuroo karlo:

1. Qur'aan Shareef ka kuch hissa ki tilaawat karlo.

2. Taqreeban pandra minute ke liye Fazaa'il-e-Sadaqaat, Fazaa'il-e-A'maal owr Bahishti Zewar ki ta`leem karlo subah shaam.

3. Kalimah ka zikr karlo. Isee tarah Durood Shareef aur istighfaar bhi parhlo.

4. Khatam hone par du`aa karlo Khuda ki khaas madad talab karte huwe, uski rahmat aur maghfirat apne liye aur poori ummat ke liye.

Agar shohar in a`maal me shirkat ne kare to us par zor ne karo.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)