Khwaab ki ta'beer

Q: Mene fajar ki namaz se uthne se pehle khuwaab mein dekha ke hamari family yani ke mein, mere bhai, aur walden mere gari mein kahin ja rahe hen. Hamare nanhiyal side ka kisi rishtedar ka ghar hota he. Waha kala mota bohot bara saanp lawn mein nazar ata hy. Mein kehti enko pata bhi nah enk ghar mein cobra hy bara phr gari agey chalti manzar bdl jata hy. kisi ghar ka Lawn hara bhara hota hy usk darkht k auper saanp betha hota hy mein dkhti hun dar lgta h. Mera 2nd numbr bhai mamu ka damad aur teesra larka yad nhi wo saanp ko pakrne us darkht k pas jate hen aur dhoondtey hen agey ka khuwb sahi yad nh. Ghar hmara nh lg rha tha khuwab mein. Phr ek manzar dhundla yad hy k hm drawing hal hota hy wahan bethay hen bht log hen mre mamu ki beti js ki shadi hy 2 haftey bd wo hoti gap shap krti hy mjhsy jbk dil hi dil mein mjh dar lg rha hota hy saanp yahan na ajae. Mjh eski tabir bta dien. Mjh itna hi yad hy baki yaad nahi.

A: Paanch waqt ke namaaz ke ba'd owr sowne se pehle chaar qul owr aayatul kursi parh lia kare. Allah Ta'ala aap ku tamaam shar se hifaazat farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada