Mazaar

Q: Mera sawal aapse ye hai ke kya mazar galat hai Quran or hadith ke hisab se? Or agar galat hai to bare bare Allah ke waliyon ka mazar hai kya ye bhi galat nahi agr mazar galat hai to Allah ke waliyon ka mazar kyun hai? Mujhe details mai jawab di jiye jawab ki talabgaar.

A: Mazaar se aapka matlab kia he. Agar mazaar se matlab qabar he to tamaam musalmaan qabar me litaaye jaate he chaahe wali ho aur chaahe nabi ho sab ko qabar me litate he aur agar mazaar se muraad bidaat he to bidaat shuroo hote he is wali ke marne ke bad. Lihaza bidaat me unka koi ikhtiyaar aur hissa nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)