Janaaza namaaz ke lia wudhu zuroori he?

Q: Kya Namaze janaazah kee liye Wuzu zaruri hai? Agar namaze janaazah start hogaye aur kese ko wudhu nahi, wahan kya hukum hai?

A: Agar mayyit ke wali ke elawa kisi owr ku ye pesh aawe, to wo tayammum karke namaaz parhle. Agar wali-e-mayyit ku aysa hojae, to choonke wo janaaza namaaz ku rowksakta he owr agar us ki ijaazat ke baghair janaaza namaaz parhi gai, us surat me wo namaaz dohra sakta, to us ke lia tayammum karke namaaz parhna durust nahi hoga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)