Baap ka haq adaa karna

Q: Mera masla ye ha k mera baap bohat he sakhat admi ha par pyar b apni olad se bohat karta ha par meri umer 20 saal ki ha sabse bara ghar may olad may me hon muje ek serious issue ha k mere baap ka muje gandi gandi galliyan maa behan ki ya us se b uper ki dena baki family k samne mujse bardasht nahi hota choti choti bt pe b muje galiz galliyan sunne ku milti may unhen guse may kahta hn k galiyan mat den baki ju marzi kahen isi bt pe may behas karta hn tu unhen ye chez meri awal darjey ki badtamezi lagti ha kya muje ye nahi karna chahyea?? meri ma muje kahtin hain k wo tera baap ha in the end wo ju marzi kah sakta ha? Kya meri maa sahi ha? Islam may baap ka ye raviya jaiz ha? isi wajah se mere or papa k dermeyan bohat duri ha may unse koi b bt khul k nai karta. Phir meri nature aisi ha ke may badtamezi nahi karta magr inhen badtamezi lagti ha islam muje kya hukam deta ha reference to books hadis or Quranic verse se bataen. May ghar may b bohat tang aya hua ha aye din yehe masla rahta ha.

A: Baap ka haq ada karo. Agar wo aap se koi cheez kahe to un ki baat maano bashart ye ke wo Shari'at ke khilaaf ne ho. Agar aap ku un ki kisi baat part nagawaari ho, to us se kuch ne kaho, khamowsh raho.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)