Khwaab ki ta'beer

Q: Muje ap sy ek khwab k bare me pochna hai jo aj subah me ne fajar k azano k bad dikha. Khwab kuch esa ta. Me ne dekha k bohat zyda barish ho rhi hai pir achanak barish rokh jaty hai. Aur assman pr bohat sary sitary nikal atty hai. Bohat sary sitare zameen pr ajaty hai me un ko uttaty ho to mere sath mere dost b hote hai jo mje kahty hai k ye sitare utana gunah hai to muje sath me ek kitab b nazar ajata hai jis me likha hota hai k is me gunah nhe ye qeemty pathar ki trah hai. Pir me wo sary uta ty ho aur ek apne dost ko deti ho. Please aap is khwab ki tabeer bata dy.

A: Allah Ta'ala aap ko saheeh raaste ki taraf rahnumaai farmaenge aur aap ko doosro ke liye hidaayat ka zaria banaayenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada