Khwaab ki ta'beer

Q: Meine raat ko sonay se phele dua mangi thi k mera, meri pasand ki jagah rishta te pa jaye. Meine khawab mei dekha ke mein jisay pasand karti hn usnay apni behan say shadi kar li hai. Mein yeh soch kar hairan hoti hoon k usnay apni behan se akhir kese shadi kar li.mein apni dost ko batati hoon k us nay apni behan se shadi kar li hai aur yeh k esa kese ho sakata hai...akhir wo larki mehram hai us kay leye yani behan hai uski.meri dost ne agay se kaha k Allah bethar karay ga. Uskay bad kia howa mujhay yaad nai.

A: Khwaab ki ta'beer ye he ke jis cheez ku insaan chahta he, hamesha wo usku milne wala nahi hota he. Kabi Allah Ta'ala us ku wohi cheez naseeb farmate he owr kabi Allah Ta'ala usku naseeb nahi farmate he. Lekin Allah Ta'ala us ke naseeb me us se behtar chaeez ata farmate he. Allah Ta'ala hi jaante he ke banda ke lia kya acha he owr kya acha nahi he. Banda nahi jaanta he. Lihaza har haal me banda Allah Ta'ala ki taraf ruju' kare, Allah Ta'ala ku kush kare owr Allah Ta'ala ki taqdeer se hamesha kush rahe. Paanch waqt ke namaaz ke ba'd ye dua parhe. Allah Ta'ala aap ku neak owr munaasib rishta naseeb farmae.

رَبِّ إِنِّي لِمَا أَنزَلْتَ إِلَيَّ مِنْ خَيْرٍ فَقِيْر

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada