Khwaab ki ta'beer

Q: Mufti sahib main ne teen din pehle ayk khawab dekha tha. Please muje is khawab ki tabeer bata dejiye jo ye hai. Main kisi mehfil main betha huva hoon jahan aur bhi boht se log hain. Main kuch der bad wahan se bahir nikalta hoon to mere dono joote ghayib hain aur sochta hoon ke koi mere joote pehan ke le gya hai. Main boht dhoondta hoon lakin nahin milte phir wahan pe mere joote ke jaisa aik joota milta hai jo kisi aur ka hai shayd left foot ka main wo pehan leta hoon lakin us ka right foot ka joota bhi nahin hai aur main ne sirf aik he pehna huva hai.

A: Khwaab ki ta'beer ye he ke aap ku chahia ke aap paanch waqt ke namaaz paabandi ke saat waqt par Musjid me jamaat ke saat parhne ka ihtimaam kya kare. Isy tarah tamaam na mahram awrato se purda ka ihtimaam kya kare. Tamaam mushtabah owr haraam cheezo se apne aap ku bachae (masalan cellphone, internet, TV, najaaiz suhbat, wagairah). Jis jagah me mard owr awrat ka ikhitilalat owr bepardagi ho, bilaa zuroorat waha par ne jaw. Allah Ta'ala hum sab ku saheeh raaste par chalaae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada