Khwaab ki ta'beer

Q: Me apni waalida ka aik khwab ki tabeer janna chahta hon, khwab ye haik, meri walda kafi arsay sai ye khwab dekh rhi hein ke, wo apne ghar me hein or subha (fajar) ki namaz ke liye bedar hoti hein or wazzu karne ke liye jati hein lekin jab wazzu kar ke aati hien to us waqt suraj taluu ho chukka hota hai, or phir wo preshan ho jati hein ke jab wo bedar hui thien to fajar ki namaz ka waqat baqi tha, lekin wazzu ke bad suraj taluu ho gya. Meharbani farmaye or is khwaab ki darust tabeer bayan kar ke mujhy shukriya ka moqa dein. Allah apko jazaye khair de.

A: Usku chahia ke apni namaazo owr dowsre Deeni kaamo ku apne Saheeh waqt par anjaam de. Ta'keer ne kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada