Razaa'at

Q: Qur'aan ke mutabiq maloom razaat jin se razaat sabit hoti hai 5 hain or ahadith main bhi maloom razaat ki tadad 5 hai. Ab ager aik bar doodh piny se razaat sabit hoti hai to phir Qur'aan or Ahadith main paanch maloom razaat ka kyon kaha gya hai? Phir to quraan main or ahadith main b yehi hona chahiye tha k aik razaat se hi razaat sabit hoti hai.plz mujhy ayaat or ahadith e nabwi k hawaly se mukamal rahnumai dijiye or ayaat or ahadith bhi btaiye.

A: Ayk dafa doodh pene se razaat saabit hoti he. Paanch dafa ka zikr jo Hadith Shareef me aya, wo shuru' me tha. Jab Qur'an ki aayat naazil huwii, to wo pehla hukm mansookh hogaya. Tafseer ke lia I'laaus Sunan ki taraf ruju' karlo.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: