Nikaah bagair gawaaho

Q: Mai ne aik larky se Quraan majeed pe hath rakh ke kaha ke Mai Allah, Rasool aur is Quraan ku gawah bana ke kahti hn ke mai tumhy apny nikah me qaboll karti hn kiya tmhy qabol hai? Aur larky ny 3 bar haan kaha ayr isii tarha mujhsy bhi pochaa aur mai ny quraan py hath rakh k 3 bar Haan kaha. Is nikah ke bary my hum donu ke ghar walo ko maloom nahiii Aur baad my hum donu ny Quraan py hath rakh ke kasam khai ke hum es nikah ko qabol karty hai Tu kiya yai nikah sahee hai? Meray us ke sath taluk raha magr pore tarha nahi. Mai sunni hon Mera sawal hai k kiya yai nikah sahee hai?

A: Agar tum dono ke alawa koi aur maujood nahi ta to nikaah nahi huwa.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)


Q: Lakin mai ne Quraan pe hath rakh ke kasam khai thi ke mai es nikah ko manti hn tu kiya phr bhi nahi howa?

A: Nikaah ke durust hone ke lia shart ye he ke larki, larka (ya un ke wakeel), owr do Musalmaan gawaah majlis-e-nikaah me mawjood ho owr downo gawaah iyjaab owr qabool ke alfaaz ku sune ayk hi majlis me. Choonke ye sharaait nahi paai gai, to nikaah nahi huwa.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: