Talaaq ke ba'd mahr me jhagra

Q: Mere aek dost ka talak hogaya. Aura ouske bad dono khandano key bich dhamkiya shuru thi Aise me mere dost ne Mehar Ki 5000 rakam Jo tay thi wo post se bhej di. Magar ladaki walone who rakam nahi lee aura kaha key Hume eisse bhi jyada rakam chahiye. Aur mera dost ne zyada rakam dense inkar kiya kyon ki zyada rakam tay nahi huyi thi Aab masla ye hai Ki abtak mera dost tay shhoda meher Ki rakam nahi adaa Kar saka kyonki ladki walone ous rakam Ko lene se inkar kar diya to kya mere dost Mehar Ki rakam adaa na karneka gunahgar hoga?

A: Jis raqam par tay hogaya nikaah ke waqt, wo raqam biwi ka haq he. Biwi ke khaandaan ku is se ziyaada maangne ka haq nahi he. Kisi tareeqe se wo raqam un logo tak phonchaado. Agar wo lena nahie chaate, to us ku apne paas hifaazat se rakhlo. Aainda jub wo lene kei lie aamaada ho jaye, to un ku de do.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: