Khwaab ki ta'beer

Q: Mai aik khwaab ki tabeer poochna chahta hoon. Mai nai khawab mey dekha kai raat ka waqt hai aur andhera hai aur mai aik road par ja raha hoo aur mai dar raha hoon aur phir aik do bazurg log jinoh ney safaid kaprey pehney huwey hai aur safaid dari bhi hai woh bhi waha atey hey aur mujey rasta batatey hai. Phir mai aik larko key hostel mai pohanch jata hoo jaha lights lagi hoi hai aur roshni hey aur waha lift harab hai aur mai seeriyo key rastey pehli manzil par jata hoo to waha canteen hai aur waha garam rotiya aur sandwiches ban rahey hey aur mai waha sandwiches ka order daita hoo aur baith jata hoon. Please is ki tabeer bata dai.

A: Neak lowgo ki suhbat iktiyaar kare jo aap ku saheeh tareeqe ki taraf rehnumai kar sake. Agar aap apna talluq ahlullah se jowrenge owr apni zindagi ku Huzoor Sallallahu Alayhi Wasallam ki Mubaarak zindagi ke mutaabiq banaaenge owr gunaah se parhez karenge to Allah Ta'ala aap ku barkat naseeb farmaenge har cheez me owr aap ku hamesha khush rakhenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada