Khwaab ki ta'beer

Q: Meri ammi ne ye khwab kuch din pahly dekha tha. Unhy kabhi bhi khawab yaad nahi rehty. Phir ye unhy yaad reh gaya. Ami ne dekha ke teen burqa posh ortain jinho ny apny cheray bhi niqaab se dhaky hoy thy ami ke paas aain or ami se galy milien or ayk ne apny chehray se naqaab uthaya (wo hamari bari momani thi jin sy hamara milna julna nahi hai) baaki do ne niqaab nahi uthaya. Un ke hathoon mai bary bary thely thy jin mai sy ayk thely ko ulat kar momani ny ami se kaha ke dekho hum tumhary liy dolat laey hain. Jab ke un thelo mai tasbeh bahri hoi thi. Ami ne unhy dekh ke socha ke ye to dolat nahi tasbeh hai or tasbeeh ke dany hain. Is kwaab ki tabeer kia hogi? Kis taraf ishara hai?

A: Saare rishtidaaro ke saat acha sulook owr bartaaw kare. Allah Ta'ala tumhe barkat naseeb farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada